zindagii ke mele mein..
Khvaahishon ke rele mein..
tum se kyaa kahen jaanaa??
is qadar jhamele mein,
vaqt kii ravaanii hai,
bakht kii giraanii hai,
sakht bezamiinii hai,
sakht laamakaanii hai,
hijr ke samandar mein,
taKht aur taKhte kii,
ek hii kahaanii hai,
tum ko jo sunaanii hai..
baat go zaraa sii hai,
baat umr bhar kii hai,
umr bhar kii baatein kab,
do gharii mein hotii hain??
dard ke samandar mein,
anginat jaziirey hain,
beshumaar motii hain,
aankh ke dariiche mein,
tum ne jo sajaayaa thaa!
baat us diye kii hai.
baat us gile kii hai..
jo lahuu kii Khilvat mein,
chor ban ke aataa hai,
lafz ke fasiilon par,
TuuT TuuT jaataa hai..
zindagii se lambii hai,
baat rat_jage kii hai,
raaste mein kaise ho,
baat taKhaliye kii hai,
taKhaliye kii baaton mein,
guftaguu izaafii hai.
pyaar karane vaalon ko,
ik nigaah kaafii hai,
ho sake to sun jaao..
ek din akele mein,
tum se kyaa kahein jaanaan?
is qadar jhamele mein..
No comments:
Post a Comment