Monday, December 6, 2010

ye tabiyat hai to khud azar ban jayenge ham

ye tabiyat hai to khud azar ban jayenge ham
charagar royenge aur gamkhvar ban jayenge ham

ham sar-e-chak-e-vafa hain aur tera dast-e-hunar
jo bana dega hamain ai yar ban jayenge ham

kya khabar thi ai nigar-e-sher tere ishq main
dilbaran-e-shahar k dildar ban jayenge ham

sakht jan hain par hamari ustavari par na ja
aise tutenge tera iqarar ban jayenge ham

aur kuch din baithane do ku-e-janan main hamain
rafta rafta saya-e-divar ban jayenge ham

is qadar asan na hogi har kisi se dosti
ashnai main tera mayar ban jayenge ham

mir-o-galib kya k ban paye nahin faiz-o-firaq
zam ye tha rumi-o-atar ban jayenge ham

dekhane main shakh-e-gul lagate hain lekin dekhana
dast-e-gulchin k liye talvar ban jayenge ham

ham chiragon ko to tariki se larana hai 'Faraz'
gul hue par subah k aasaar ban jayenge ham

No comments:

Post a Comment