Sunday, December 5, 2010

Teray hoNToN k phooloN ki chaahat mein ham

Teray hoNToN k phooloN ki chaahat mein ham
daar ki khushk Tehni pe waaray gaye
tayray haathoN ki shammoN ki hasrat mein ham
neem-taareek raahoN mein maaray gaye

sooliyoN per hamaray laboN se paray
tayray hoNToN ki laali lapakti rahi
tayri zulfoN ki masti barasti rahi
tayray haathoN ki chaaNdi damakti rahi

jab ghuli tayri raahoN mein shaam-e-sitam
ham chalay aaye, laaye jahaaN tak qadam
lab pe herf-e-ghazal, dil mein qindeel-e-gham
apna gham tha gawaahi teray husn ki
dekh qaayem rahay us gawaahi pe ham
ham jo taareek raahoN pe maaray gaye

na-rasaayee ager apni taqdeer thi
tayri ulfat to apni hi tadbeer thi
kis ko shikwa hai ger shoq k silsilay
hijr ki qatl-gaahoN se sab ja milay

qatl-gaahoN se chun ker hamaray alam
aur niklein gay ush-shaaq k qaafelay
jin ki raah-e-talab se hamaray qadam
mukhtaser ker chalay derd k faaslay
ker chalay jin ki khaatir jahaaN-geer ham
jaaN gaNwa ker teri dil-bari ka bharam
ham jo taareek raahoN mein maaray gaye

1 comment: