Sunday, December 5, 2010

Hum perverish-e-loh-o-qalam kertay rahein gay

Hum perverish-e-loh-o-qalam kertay rahein gay
jo dil pe guzerti hai raqam kertay rahein gay

asbaab-e-gham-e-ishq buham kertay rahein gay
weeraani-e-doraaN pe karam kertay rahein gay

haan talkhi-e-ayyaam abhi aur beRhay gi
haan ehl-e-sitam, mashq-e-sitam kertay rahein gay

manzoor ye talkhi, ye sitam ham ko gawaara
dam hai to mudavaa-e-alam kertay rahein gay

mai-khaana salamat hai to ham surkhi-e-mai se
tazeen-e-der-o-baam-e-haram kertay rahein gay

baqi hai lahoo dil mein to her ashk se paida
rung-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam kertay rahein gay

ek terz-e-taghaaful hai so wo unko mubarak
ek arz-e-tamanna hai so ham kertay rahein gay

No comments:

Post a Comment