Sunday, December 5, 2010

Hamaaraa kyaa hai

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah, 
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogi, 
ke jaise tund andheron kii raah mein juganuu, 
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye..
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de,
na shab katy na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de..
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar,
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogi..
ke tez havaaon kii zard maa_il naqsh-e-qadam,
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye..
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile,
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile!
hamaarii simt na dekho ke ko_ii der mein ham,
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hain!
base basaaye huye shahar apanii aaNkhon ke,  
misal-e-khaanaa-e-viiraan ujarany vaale hain..
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa,
hamaarii umar ke Khemein ukharany vaale hain...  

1 comment: