Thursday, December 9, 2010

ab ke ham bichhrain to shaayad kabhii Khvaabon mein milen

ab ke ham bichhrain to shaayad kabhii Khvaabon mein milen 
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen

DhuuNDh ujary hue logon mein vafaa ke motii 
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen 

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa 
donon insaan hain to kyon itane hijaabon mein milen

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo 
nashaa barhtaa hai sharaben jo sharaabon mein milen
 
aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baaton par 
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen 

ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen    

1 comment:

  1. Khuwaboon main nae haqeeqat main milain gay cuku

    ReplyDelete