Sunday, December 5, 2010

Gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam

gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
dhul k niklay gi abhi chashma-e-mahtaab se raat
aur mushtaaq nigaahoN ki suni jaaye gi
aur un haathoN se mas hongay ye tersay hoay haat

unka aaNchal hai, k rukhsaar, k pairahan hai
kuchh to hai jis se hui jaati hai chilman rangeeN
jaanay us zulf ki mohoom ghani chhaaoN mein
TimTamaata hai wo aawezah abhi tak k nahi

aaj phir husn-e-dil-aara ki wohi dhaj hogi
wohi khwabeedah si aaNkhein, wohi kaajal ki lakeer
rung-e-rukhsaar pe halka sa wo ghaazay ka ghubaar
sandali haath pe dhuNdli si hina ki tehreer

apnay afkaar ki, ashaar ki dunya hai yahi
jaan-e-mazmooN hai yahi, shahid-e-maana hai yahi

aaj tak surkh-o-syah sadyoN k saaye k talay
aadam-o-hawwa ki aulaad pe kia guzri hai ?
mot aur zeest ki rozaana saf-aaraayi mein
ham pe kia guzray gi, ajdaad pe kia guzri hai ?

in damaktay hoay shehroN ki faraawaaN makhlooq
kyooN faqat mernay ki hasrat mein jia kerti hai ?
ye haseeN khayt phaTa peRta hai joban jinka
kis liye in mein faqat bhook uga kerti hai

ye her ek samt pur-asraar kaRi deewaarein
jal bujhay jin mein hazaaroN ki jawaani k charaagh
ye her ek gaam pe un khwaaboN ki maqtal-gaahein
jinkay pertou se charaaghaaN hein hazaaroN k demaagh

ye bhi hein, aisay kayee aur bhi mazmooN hongay
lekin us shokh k aahista se khultay hoay hoNt
haaye us jism k kambakht dil-aawez khutoot
aap hi kehiye kaheeN aisay bhi afsooN hongay

apna mozoo-e-sukhan in k siwa aur nahi
tab-e-shaayer ka watan in k siwa aur nahi

No comments:

Post a Comment