abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen..
ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaan,
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa,
vo jo harf jarf charaaG thaa..
use kis havaa ne bujhaa diyaa??
kabhii lab hilenge to puuchhanaa..
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil,
vo jo nikahaton kaa hujuum thaa..
use dast-e-mauj-e-firaaq ne,
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa??
kabhii gul khilenge to puuchhanaa..
abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen??
yuun hii Khvaahishon ke fishaar mein,
kabhii be-sabab kabhii bekhalal..
kahaan kaun kis se bichhar gayaa,
kise kis ne kaise ganvaa diyaa??
kabhii phir milenge to puuchhanaa..
No comments:
Post a Comment