Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke..
Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain,
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke..
Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din,
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke..
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke..
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz,
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke..
This blog is designed for urdu poetry lovers ..... So provide me your feed back .... Regards .... Abdul Wahid
Thursday, December 23, 2010
Saturday, December 11, 2010
Thursday, December 9, 2010
ab ke ham bichhrain to shaayad kabhii Khvaabon mein milen
ab ke ham bichhrain to shaayad kabhii Khvaabon mein milen
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen
DhuuNDh ujary hue logon mein vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon mein milen
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nashaa barhtaa hai sharaben jo sharaabon mein milen
aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen
ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen
chaand ke saath kai dard puraane nikale
chaand ke saath kai dard puraane nikale
kitane Gam the jo tere Gam ke bahaane nikale
fasl-e gul aai phir ik baar asiiraan-e-vafaa
apane hii Khuun ke dariyaa mein nahaane nikale
hijr ki choT ajab sang-shikan hotii hai
dil kii befaiz zamiinon se Khazaane nikale
umr guzarii hai shab-e-taar mein aankhen malate
kis ufaq se meraa Khurshiid na jaane nikale
kuu-e-qaatil mein chale jaise shahiidon kaa juluus
Khvaab yuun bhiigatii aankhon ko sajaane nikale
dil ne ik iint se taamiir kiyaa taaj mahal
tuu ne ik baat kahii laakh fasaane nikale
dasht-e tanhaai-e-hijraan mein kharaa sochataa huun
haaye kyaa log meraa saath nibhaane nikale
main ne 'Amjad' use bevaastaa dekhaa hii nahiin
vo to Khushbuu mein bhii aahaT ke bahaane nikale
Khud apane liye baiTh ke sochenge kisii din
Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din
yuun hai ki tujhe bhuul ke dekhenge kisii din
bhatake hue phirate hain ka_ii lafz jo dil mein
duniyaa ne diyaa vaqt to likkhenge kisii din
hil jaayenge ik baar to arshon ke dar-o-baam
ye Khaak_nashiin log jo bolenge kisii din
aapas kii kisii baat kaa milataa hii nahii vaqt
har baat ye kahate hain ke baiThenge kisii din
ai jaan terii yaad ke be-naam parinde
shaaKhon pe mere dard kii utarenge kisii din
jaatii hai kisii jhiil kii gaharaa_ii kahaan tak
aankhon mein terii Duub ke dekhenge kisii din
Khushbuu se bharii shaam mein jugnuu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likkhenge kisii din
soyenge terii aaNkh kii Khlvat mein kisii raat
saaye mein terii zulf ke jaagenge kisii din
Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyon se tere shahar kii guzarenge kisii din
'Amjad' hai yahii ab ke kafan baaNdh ke sar se
us shahar-e-sitam_gaar mein jaayenge kisii din
ishq kaa jaaduu
meraa tamaam fan merii kaavish meraa riyaaz
ik naa-tamaam giit ke misare hain jin ke biich
maanii kaa rabt hai na kisii kaafiye kaa mel
anjaam jis kaa tay na huaa ho ik aisaa khel
merii mataa bas yahii jaduu hai ishq kaa
siikhaa hai jis ko main ne barii mushkilon ke saath
lekin ye saahir-e-ishq kaa tohfaa ajiib hai
khulataa nahii hai kuchh ke haqiiqat men kyaa hai ye
taqadiir kii ataa hai yaa ko_ii sazaa hai ye
kis se kahen ai jaan ke ye qissaa ajiib hai
kahane ko yuun to ishq kaa jaduu hai mere paas
par mere dil ke vaaste itanaa hai is kaa bojh
siine se ik pahaar saa haTataa nahii hai ye
lekin asar ke baab men halkaa hai is qadar
tujh pe agar chalaauun to chalataa nahii hai ye
Monday, December 6, 2010
Kis liye rakhna der o baam ki chahat ka azaab
Kis liye rakhna der o baam ki chahat ka azaab
Umer rastoon mai guzarni hai to ghr kya rakhna
Humne yeh soch kr hansne ka hunar sekh liya
zakham rakhna hai to phir deda e tar kya rakhna
Umer rastoon mai guzarni hai to ghr kya rakhna
Humne yeh soch kr hansne ka hunar sekh liya
zakham rakhna hai to phir deda e tar kya rakhna
ye tabiyat hai to khud azar ban jayenge ham
ye tabiyat hai to khud azar ban jayenge ham
charagar royenge aur gamkhvar ban jayenge ham
ham sar-e-chak-e-vafa hain aur tera dast-e-hunar
jo bana dega hamain ai yar ban jayenge ham
kya khabar thi ai nigar-e-sher tere ishq main
dilbaran-e-shahar k dildar ban jayenge ham
sakht jan hain par hamari ustavari par na ja
aise tutenge tera iqarar ban jayenge ham
aur kuch din baithane do ku-e-janan main hamain
rafta rafta saya-e-divar ban jayenge ham
is qadar asan na hogi har kisi se dosti
ashnai main tera mayar ban jayenge ham
mir-o-galib kya k ban paye nahin faiz-o-firaq
zam ye tha rumi-o-atar ban jayenge ham
dekhane main shakh-e-gul lagate hain lekin dekhana
dast-e-gulchin k liye talvar ban jayenge ham
ham chiragon ko to tariki se larana hai 'Faraz'
gul hue par subah k aasaar ban jayenge ham

Sunday, December 5, 2010
Anwar Masood in Hong Kong Part 07
Anwar Masood in Hong Kong Part 11
Anwar Masood in Hong Kong Part 10
Anwar Masood in Hong Kong Part 09
Anwar Masood in Hong Kong Part 08
Anwar Masood in Hong Kong Part 06
Anwar Masood in Hong Kong Part 05
Anwar Masood in Hong Kong Part 04
Anwar Masood in Hong Kong Part 03
Anwar Masood in Hong Kong Part 02
Anwar Masood in Hong Kong Part 01
Comedy Mushaira - Anwar Masood
ANWAR MASOOD - LASSI TE CHA
Jehlum Da Pul***Anwer Masood
JANNATI HOORAN-ANWAR MASOOD
kisii kii aankh jo pur_nam nahii hai
kisii kii aankh jo pur_nam nahiin hai
na samajho ye ke us ko Gam nahiin hai
savaad-e-dard mein tanhaa khara huun
palaT jaa_uun magar mausam nahiin hai
samajh mein kuchh nahiin aataa kisii ke
agarche guftaguu mubaham nahiin hai
sulagataa kyuun nahiin taariik jangal
talab kii lau agar maddham nahiin hai
ye bastii hai sitam paravar digaan kii
yahaan koi kisii se kam nahiin hai
kinaaraa duusaraa dariyaa kaa jaise
vo saathii hai magar maharam nahiin hai
dilon kii raushanii bujhane na denaa
vajuud-e-tiiragii mahakam nahiin hai
main tum ko chaah kar pachhataa rahaa huun
koii is zaKhm kaa maraham nahiin hai
jo koi sun sake 'Amjad' to sunaa denaa
ba-juz ek baaz gasht-e-Gam nahiin hai
chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din
raazon kii tarah utaro mere dil mein kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din
perron kii tarah husn kii baarish mein nahaa luun
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din
Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phuulon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din
phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din
guzaren jo mere ghar se to ruk jaayen sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din
main apanii har ik saans usii raat ko de duun
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai.
itanaa besimt na chal lauT ke ghar jaanaa hai.
us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai,
jaise paanaa hii use asl mein mar jaanaa hai.
bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa_ii kyaa hai,
dil ko rukanaa hai ki taaron mein Thahar jaanaa hai.
kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke,
us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hai.
main khilaa huun to isii Khaak mein milanaa hai mujhe,
vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai.
vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil,
har musaafir ko isii ghaaT utar jaanaa hai.
Zindagii ke mele mein
zindagii ke mele mein..
Khvaahishon ke rele mein..
tum se kyaa kahen jaanaa??
is qadar jhamele mein,
vaqt kii ravaanii hai,
bakht kii giraanii hai,
sakht bezamiinii hai,
sakht laamakaanii hai,
hijr ke samandar mein,
taKht aur taKhte kii,
ek hii kahaanii hai,
tum ko jo sunaanii hai..
baat go zaraa sii hai,
baat umr bhar kii hai,
umr bhar kii baatein kab,
do gharii mein hotii hain??
dard ke samandar mein,
anginat jaziirey hain,
beshumaar motii hain,
aankh ke dariiche mein,
tum ne jo sajaayaa thaa!
baat us diye kii hai.
baat us gile kii hai..
jo lahuu kii Khilvat mein,
chor ban ke aataa hai,
lafz ke fasiilon par,
TuuT TuuT jaataa hai..
zindagii se lambii hai,
baat rat_jage kii hai,
raaste mein kaise ho,
baat taKhaliye kii hai,
taKhaliye kii baaton mein,
guftaguu izaafii hai.
pyaar karane vaalon ko,
ik nigaah kaafii hai,
ho sake to sun jaao..
ek din akele mein,
tum se kyaa kahein jaanaan?
is qadar jhamele mein..
Tujh se koi gila nahi hai
Tujh se koi gila nahi hai
Kismat mein meri sila nahi hai
Bichar ke to na jane kya haal ho
Jo shakhs abhi mila nahi hai
Jeene ki to aarzoo hi kab thi
Marne ka bhi hosla nahi hai
Jo zeest ko mu-tabir bana de
Aisa koi silsila nahi hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khila nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peeche mera kafila nahi hai
Kismat mein meri sila nahi hai
Bichar ke to na jane kya haal ho
Jo shakhs abhi mila nahi hai
Jeene ki to aarzoo hi kab thi
Marne ka bhi hosla nahi hai
Jo zeest ko mu-tabir bana de
Aisa koi silsila nahi hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khila nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peeche mera kafila nahi hai
Teray hoNToN k phooloN ki chaahat mein ham
Teray hoNToN k phooloN ki chaahat mein ham
daar ki khushk Tehni pe waaray gaye
tayray haathoN ki shammoN ki hasrat mein ham
neem-taareek raahoN mein maaray gaye
sooliyoN per hamaray laboN se paray
tayray hoNToN ki laali lapakti rahi
tayri zulfoN ki masti barasti rahi
tayray haathoN ki chaaNdi damakti rahi
jab ghuli tayri raahoN mein shaam-e-sitam
ham chalay aaye, laaye jahaaN tak qadam
lab pe herf-e-ghazal, dil mein qindeel-e-gham
apna gham tha gawaahi teray husn ki
dekh qaayem rahay us gawaahi pe ham
ham jo taareek raahoN pe maaray gaye
na-rasaayee ager apni taqdeer thi
tayri ulfat to apni hi tadbeer thi
kis ko shikwa hai ger shoq k silsilay
hijr ki qatl-gaahoN se sab ja milay
qatl-gaahoN se chun ker hamaray alam
aur niklein gay ush-shaaq k qaafelay
jin ki raah-e-talab se hamaray qadam
mukhtaser ker chalay derd k faaslay
ker chalay jin ki khaatir jahaaN-geer ham
jaaN gaNwa ker teri dil-bari ka bharam
ham jo taareek raahoN mein maaray gaye

Hum perverish-e-loh-o-qalam kertay rahein gay
Hum perverish-e-loh-o-qalam kertay rahein gay
jo dil pe guzerti hai raqam kertay rahein gay
asbaab-e-gham-e-ishq buham kertay rahein gay
weeraani-e-doraaN pe karam kertay rahein gay
haan talkhi-e-ayyaam abhi aur beRhay gi
haan ehl-e-sitam, mashq-e-sitam kertay rahein gay
manzoor ye talkhi, ye sitam ham ko gawaara
dam hai to mudavaa-e-alam kertay rahein gay
mai-khaana salamat hai to ham surkhi-e-mai se
tazeen-e-der-o-baam-e-haram kertay rahein gay
baqi hai lahoo dil mein to her ashk se paida
rung-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam kertay rahein gay
ek terz-e-taghaaful hai so wo unko mubarak
ek arz-e-tamanna hai so ham kertay rahein gay

Gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
dhul k niklay gi abhi chashma-e-mahtaab se raat
aur mushtaaq nigaahoN ki suni jaaye gi
aur un haathoN se mas hongay ye tersay hoay haat
unka aaNchal hai, k rukhsaar, k pairahan hai
kuchh to hai jis se hui jaati hai chilman rangeeN
jaanay us zulf ki mohoom ghani chhaaoN mein
TimTamaata hai wo aawezah abhi tak k nahi
aaj phir husn-e-dil-aara ki wohi dhaj hogi
wohi khwabeedah si aaNkhein, wohi kaajal ki lakeer
rung-e-rukhsaar pe halka sa wo ghaazay ka ghubaar
sandali haath pe dhuNdli si hina ki tehreer
apnay afkaar ki, ashaar ki dunya hai yahi
jaan-e-mazmooN hai yahi, shahid-e-maana hai yahi
aaj tak surkh-o-syah sadyoN k saaye k talay
aadam-o-hawwa ki aulaad pe kia guzri hai ?
mot aur zeest ki rozaana saf-aaraayi mein
ham pe kia guzray gi, ajdaad pe kia guzri hai ?
in damaktay hoay shehroN ki faraawaaN makhlooq
kyooN faqat mernay ki hasrat mein jia kerti hai ?
ye haseeN khayt phaTa peRta hai joban jinka
kis liye in mein faqat bhook uga kerti hai
ye her ek samt pur-asraar kaRi deewaarein
jal bujhay jin mein hazaaroN ki jawaani k charaagh
ye her ek gaam pe un khwaaboN ki maqtal-gaahein
jinkay pertou se charaaghaaN hein hazaaroN k demaagh
ye bhi hein, aisay kayee aur bhi mazmooN hongay
lekin us shokh k aahista se khultay hoay hoNt
haaye us jism k kambakht dil-aawez khutoot
aap hi kehiye kaheeN aisay bhi afsooN hongay
apna mozoo-e-sukhan in k siwa aur nahi
tab-e-shaayer ka watan in k siwa aur nahi

Yun hosla dil ne hara kab tha
Yun hosla dil ne hara kab tha
Sartaan mera sitara kab tha
Sartaan mera sitara kab tha
Lazim tha guzrna zindagi se
Bin zeher piye guzara kab tha
Kuch pal use or dekh sakte
Ashkon KO magar gawara kab tha
Hum khud bhi judai ka sabab the
Us ka hi qasoor Sara kab tha
Ab or k saath hai to kaya dukh
Pehle bhi koi hamara kab tha
Ik naam pe zakhm khil uthe they
qatil ki taraf ishara kab tha
Aye ho to roshni Hui hai
Is bam pe koi Tara kab tha
Dekha huwa ghar tha per kisi ne
Dulhan ki tarha sanwara kab tha
Wo rut bhi aye mai Phool ki saheli hui
Wo rut bhi aye mai Phool ki saheli hui
Mehak mai chumpa kali,Roop mai chameli hui
Wo sard raat ki Barkha se Kyun na Pyar karoon
Yeh rut tu hai mere sath bachpan mai kheli hui
Zameen pe paun nahi par rahe the takabur se
Nigare gham koi Dulhan naye naweli hui
Wo Chand ban k mere sath sath chalta raha
Mai uske Hijer ki ratoon mai kab akele hui

Jo harf saada Ki soorat hamesha likhi gaye
Wo larki tere lei kis tarah paheli hui
Wo larki tere lei kis tarah paheli hui
Zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhi thi
Zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhi thi,
merii tarah kisii se muhabbat use bhi thi..
mujh ko bhii shauq thaa naye cheharon ki deid kaa,
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhi thi..
us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu,
masruuf main bhii kam thaa faraaGat use bhi thi..
sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaan,
taazaa rafaaqaton kii zaruurat use bhi thi..
mujh se bichharr ke shahar mein ghul mil gayaa vo shaKhs,
haalaanky shahar bhar se raqabat use bhi thi..
vo mujh se barh ke zabt kaa aadi thaa ji gaya,
varnaa har ek saans qayaamat use bhi thi..
Rait par likh ke meraa naam mitaayaa na karo
Rait par likh ke meraa naam miTaayaa na karo,
aankhain sach bolatii hain pyaar chupaayaa na karo..
log har baat kaa afsaana banaa lete hain,
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo..
ye zaruurii nahii.n har shaKhs masiihaa hii ho,
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaayaa na karo..
shahar-e-ehasaas mein pattharaav bahut hain 'Mohsin',
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaayaa na karo..
Abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen
abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen..
ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaan,
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa,
vo jo harf jarf charaaG thaa..
use kis havaa ne bujhaa diyaa??
kabhii lab hilenge to puuchhanaa..
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil,
vo jo nikahaton kaa hujuum thaa..
use dast-e-mauj-e-firaaq ne,
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa??
kabhii gul khilenge to puuchhanaa..
abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen??
yuun hii Khvaahishon ke fishaar mein,
kabhii be-sabab kabhii bekhalal..
kahaan kaun kis se bichhar gayaa,
kise kis ne kaise ganvaa diyaa??
kabhii phir milenge to puuchhanaa..
Hamaaraa kyaa hai
hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah,
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogi,
ke jaise tund andheron kii raah mein juganuu,
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye..
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de,
na shab katy na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de..
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar,
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogi..
ke tez havaaon kii zard maa_il naqsh-e-qadam,
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye..
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile,
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile!
hamaarii simt na dekho ke ko_ii der mein ham,
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hain!
base basaaye huye shahar apanii aaNkhon ke,
misal-e-khaanaa-e-viiraan ujarany vaale hain..
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa,
hamaarii umar ke Khemein ukharany vaale hain...
Jab se us ne shahar ko chhoraa har rastaa sun_saan huaa
jab se us ne shahar ko chhoraa har rastaa sun_saan huaa,
apanaa kyaa hai saare shahar kaa ik jaisaa nukasaan huaa..
mere haal pe hairat kaisii dard ke tanhaa mausam mein,
patthar bhii ro party hain insaan to phir insaan huaa..
us ke zaKhm chhupaa kar rakhiye Khud us shaKhs kii nazaron se,
us se kaisaa shikavaa kiije vo to abhii naadaan huaa..
yuun bhii kam aamez thaa "Mohsin" vo is shahar ke logon mein,
lekin mere saamane aakar aur hii kuchh anjaam huaa..
Thahar jaao ke hairaanii to jaaye
Thahar jaao ke hairaanii to jaaye,
tumhaarii shakl pahachaanii to jaaye..
shab-e-Gam tuu hii mahamaan ban ke aajaa,
hamaare ghar kii viraanii to jaaye..
zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko,
ke dil kii aag tak paanii ho jaaye..
balaa se torr Daalo aa_iinon ko,
kisii suurat ye hairaanii to jaaye...
Saturday, December 4, 2010
Tabhi to main mohabbat ka hawalaati nahi hota
Tabhi to main mohabbat ka hawalaati nahi hota
Yahan apnay siwa koi mulaqaati nahi hota
Oor ab is baat par bhi mujh say mery yaar ulajhtay hen
K main her baat sun leta hun jazbati nahi hota
Giftar e wafa ronay ka koi aik mosam rakh
Jo nala roz beh niklay wo barsatai nahi hota
Tujhy dil main jaga di hai, nazar sy door kia kartay
Jo markaz main thehar jaye , muzafaati nahi hota
Bichrhnay ka irada ho to mujh sy mashwara karna
Mohabbat main koi bhi faisla zaati nahi hota....!!!

Woh cheez jis ne collage main dhoom macha rakhi hai…
Woh cheez jis ne collage main dhoom macha rakhi hai…
us shokh haseena ka naam Allah rakhi hai…
Main Allah rakha hoon, woh Allah rakhi hai…
shayad Allah ne mairay liye bana rakhi hai…
Kehtay hain rakhi hoi cheez buhat kaam ati hai…
is liye to main ne rakhi se laga rakhi hai…
Ab haqeqat to yeah batanay ke liye rakhi hai..
ke rakhi ne raaton ki neend urda rakhi hai…
Yeah kia main ne rakhi rakhi laga rakhi hai…
us rakhi ne to kisi aur se bhi bana rakhi hai…

Friday, December 3, 2010
Woh is andaaz ki mujhse mohabbat chahta hai,
Woh is andaaz ki mujhse mohabbat chahta hai,
Merey har khawab per apni haqoomt chahta hai,
Wo kehta hai k main uski zarorat ban chuki hoon,
To goya wo mujhey hasb-e-zarorat chahta hai
Merey har khawab per apni haqoomt chahta hai,
Wo kehta hai k main uski zarorat ban chuki hoon,
To goya wo mujhey hasb-e-zarorat chahta hai
Usy kahna December loat aya hy,
Usy kahna December loat aya hy,
Hawain sard hain,
Aur Wadian b dhund ma gum hain,
Hawain sard hain,
Aur Wadian b dhund ma gum hain,
Paharo ny baraf ke shal phir orh rakhi hy,
Sabhi rasty tumhari yad ma pur nam sy lagty hain,
Jinhyn sharf-e-musafat tha,
Wo sary lamhy jo hum ny sath ma guzary hain,
Tumhari yad dilaty hain ,
Tumhy wapis bulaty hain,
Usy kahna k dykho yun satao na,
DEsambar loat aya hy,
Suno!
Tum loat ao na.

Tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil se boojh utaar do !
Tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil se boojh utaar do !
Mein bohot udas hoon in dinoon mujhay aik shaam udhaar do !
Mujhay apnay roop ki dhoop do kay chamak sakain meray khaal-o-khad
Mujhay apnay rang mein rang do, meray saaray zang utaar do !
Kissi aur ko meray haal say na gharaz hai na koi waasta
Mein bikhar gaya hoon samait lo, mein bigarr gaya hoon sanwaar do !
Meri wehshaton ko barha diya hai judaiyon kay azaab nay
Meray dil pay haath rakh do, meri dharkanoon ko qaraar do !
Tumhain subah kaisi lagi kaho, meri khawhishoon kay dayaar ki
jo bhali lagi to yaheen raho, isay chahatoon say nikhaar do !
wahan ghar mein kaun hai muntazir keh ho fikar dair sawair ki
bari mukhtasir si yeh raat hai, isay chandni mein guzaar do !
koi baat karni hai chaand say, kisi shaksaar ki oot mein
mujhay raastay mein yahin kahin, kisi gunj-e-gul mein utaar do
Thursday, December 2, 2010
suna hai log use ankh bhar ke dekhte hain
suna hai log use ankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahar main kuch din thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko kharab halon se
so apane ap ko barbad karake dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-nazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhte hain
suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhte hain
suna hai bole to baton se phuul jharate hain
ye bat hai to chalo bat kar ke dekhte hain
suna hai rat use chand takata rahata hai
sitare bam-e-falak se utar kar dekhte hain
suna hai hashr hain us ki gazal si ankhain
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai din ko use titaliyan satati hain
suna hai rat ko jugnuu thahar ke dekhte hain
suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki
suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
so us ko surmafarosh ankh bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalate hain
so ham bahar par ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aina tamasal hai jabin us ka
jo sada dil hain ban sanvar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
mizaj aur hi lal-o-gauhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan main
palang zave us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ke tarash aise hain
ke phuul apani qabayain katar ke dekhte hain
wo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hain
bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
so rahravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain
ruke to gardishain us ka tavaf karati hain
chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain
kise nasib ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-divar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hin sahi sab mubalage hi sahi
agar wo khvab hai tabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahar main thaharain ki kuuch kar jayain
'Faraz' ao sitare safar ke dekhte hain

Hum Dasht K Basi Hain Ay Shehr K Logo,
Hum Dasht K Basi Hain Ay Shehr K Logo,
Ye Rooh Pyasi Hamain Wirsay Main Mili Hay,
Dukh Dard Se Sadiyon Ka Ta'alluk Hay Hamara,
Aankhon Ki Udasi Hamain Wirsay Main Mili Hay,
Jaan Dena Rewayat Hay Qabeelay ki Hamari,
Ye Surkh Libasi Hamain Wirsay Main Mili Hay,
Jo Baat bhi kehtay Hain Utar Jati Hay Dil Main,
Taaseer Juda Si, Hamain Wirsay Main Mili Hay,
Jo Hath Bhi Thaama Hay Sada Sath Raha Hay,
Ehbaab Shanasi Hamain Wirsay Main Mili Hay..!

Subscribe to:
Posts (Atom)