Thursday, December 23, 2010

Donon jahaan

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke..

Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain,
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke..

Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din,
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke..

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke..

Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz,
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke..

Thursday, December 9, 2010

ab ke ham bichhrain to shaayad kabhii Khvaabon mein milen

ab ke ham bichhrain to shaayad kabhii Khvaabon mein milen 
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen

DhuuNDh ujary hue logon mein vafaa ke motii 
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen 

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa 
donon insaan hain to kyon itane hijaabon mein milen

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo 
nashaa barhtaa hai sharaben jo sharaabon mein milen
 
aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baaton par 
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen 

ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen